1 / 12

LEAVES OF IMAGINATIONS......... nalini...

imagination!

nalinipoems
Download Presentation

LEAVES OF IMAGINATIONS......... nalini...

An Image/Link below is provided (as is) to download presentation Download Policy: Content on the Website is provided to you AS IS for your information and personal use and may not be sold / licensed / shared on other websites without getting consent from its author. Content is provided to you AS IS for your information and personal use only. Download presentation by click this link. While downloading, if for some reason you are not able to download a presentation, the publisher may have deleted the file from their server. During download, if you can't get a presentation, the file might be deleted by the publisher.

E N D

Presentation Transcript


  1. . • Index • 1.PARTING FRIEND! • 2.AGONIES OF HEART • 3. How often.....! • MAA...! • KAUN KAHATA HAI.....? 6.AAJ...SAAARI............RAAAAT....! 7.Man Panchi..! 8. MERE AJEEZ DUSHMAN 9.Chaahat! 10.Kai baar maine..! Kabhi ro kar…..kabhi hass kar... Dil ko bahla lete hain..! Lakho sadmae sah chuke hai Aik aur sahi.. bus yahi soch kar ... Har sadma utha lete hain..! Hum tao sirf dard ki daulat lekar aaye hain... Aur kuch paas nahi... bus chupke se... Aansoo hi baha lete hain..! Jee ghabrata hai aksar.. jab bhi...... Tanhai mein... khud ko hi Apni dastaan suna lete hain..!

  2. . MAA...! Kavita karti hun magar.....kavita karti hun magar.....! Aaj kalam ne inkar kar diya... utha kar baar baar kalam... rakh deti hun main... Ki..... aaj kalm ne........ inkaar kar diya...! Kya likh sakogi.....? Kya likh sakogi?...’ Paribhasha Maa ki’....? Yeh kalam ne aaj mujh se pooch he liya! Aai ....Bawali...! Aai ..Bawali...! Yug yug beet gaye magar ‘Paribhasha Maa ki’.....na likh paya koyi...! Tum kya kya bayan karogi...? Yah kalam ne aaj mujh se pooch he liya! Prem.. vatsalya.. karuna.. mamta...! Yeh ..shabd kosh... adhure lagte hain...! Aaise vyakti ki pahchan batane... Har shabd jhoote lagte hain...! ‘Maa’ ho tum...tum par kavita na likh paungi......! Prem ke bakhaan mein ...jo kami ho jaye tere...! Tou khud se dhoka kar jaungi....! Tum voh devi ho...... jis ki chavi Mere komal man mei chaai hai...! Jis ne pahla ucchharan.. mere hoton par.....! ‘Maa” ki laayi hai....! Jeevan mein ......Pyaar ka ahsaas ...! Maine tum se hi paayi hai.....! ‘Aai Maa” tum hi ne mujhe prem se parichay karayi hai....! Tum kaun sa rahasya ho....! main kabhi na samajh paungi...! ‘Maa ‘ ......teri paribhasha mein..... kayi janamo mei bhi......! kabhi na likh paungi...!kabhi na likh paungi...!

  3. PARTING FRIEND! Gift me a diamond.....as your momento.....! Still it is less to my heart! It is nothing but a poor ………substitute of our friendship! Recalling those lovely ………..days! Remind me of the happy hours! But I find no delight in any funny ……bits now.. Instead my heart gives out a sad moaning voice That only you can understand....! All in this world is... Mortal...! but our Love .. .....just immortal..! Together we walked.... but the storm took apart..! For us to be lost in vast desert...! Now ... only a Mirage...! A far ... I can see..! Where shall we meet again..? When shall we meet again...? A photograph or an autograph won’t suffice ....! I just cannot think of some thing right...! What shall we then.....exchange..? Gift me a diamond.....as your momento.....! Still it is less to my heart...... It is nothing but a poor substitute of the parting friend!

  4. AGONIES OF HEART Neither a sound is heard....! Neither the pieces are shattered...! But... still the heart... Breaks! Neither the tears are seen....! Neither the laments are heard...! But still... the heart...... weeps! Neither the flame is seen....! Neither the ashes we get ....! But still.....the heart burns! No sorrows are seen...! But the heart is sad! No scars appears but..... perhaps..! The heart is wounded...! The pain is felt...! Deep down in the heart..! The heart feels desperate..! The heart feels defeated..... But still ..........the heart lives..! Lives..... gathering the shattered dreams..! Wiping out its tears...! Quenching the flames...! Yes!.. its lives..... it merely..lives! It has to live .... it has to live...!

  5. KAUN KAHATA HAI.....? Chupke se unka mere.... Kabr par chale aana.... Haule se mere mathe par unka.. Diya jala jana.....! Ghanto meri kabr par... Yun hi..... tanha baithe rahna.....! Palak bin jhapke... Aankho se unka kya kuch kah jana...! Kaun kahta hai?..... unko.....mujhse... Chahat kabhi na thi...? Yeh baat aur hai ......! Jamane ke samne.... Ginti “hamare” naam ki Unhone....! “dushmano” main ki thi....! Aaaj bhi unki ....!Bezaaar... aankhe....! Apne chahat ka.........! bayaan karti hai..........! Tanhayi mein bahate aansoo unke....! Mere kabr se jag jane ki duayain karti hai...! Kaun kahta hai ...?..unko.....mujhse... Chahat kabhi na thi...? Yeh baat aur hai ......! Jamane ke samne.... Ginti hamare naam ki Unhone.... dushmano main ki thi....!

  6. AAJ...SAAARI........RAAAAT....! Aaj saari raat...! Jee bhar ke ro lenge hum...! Daastaan aapni khud ko yun hi... suna denge hum..! Asshk jab thak ke tham jayegi.... Gahri saanse le lenge hum. Aaj saari raat...! Jee bhar ke .... ro lenge hum...! Saanso mein dabi har siskiyon ko... Jee bhar ke sisak lenge hum... Dil ke gaharayi mein chupe har dardko... Phoot-phoot kar biher denge hum... Aaj saar i raat...! Jee bhar ke ro lenge hum...! Chaaar divaro ke beech aaj..... Dil ke ha r parde ko hata denge hum... Khud ko aaj khud se hee …be- parda kar denge hum...! Kis baat ka gaam hai humko... Khud hee se pooch lenge hum...! Aaj saari raat...! Jee bhar ke ro lenge hum...! Muthhi bhar dil mein... Khazana hai dard ka...! Iss baat par fakr kar lenge hum.... Hazaro gam chupa kar rakh lene ka....! Khitaab jeet lenge hum...! Aaj saari raat ...! Jee bhar ke ro lenge hum...! Aaansuooan se seench kar aaaj... Dil ke diwaro ko mazboot kar lenge hum Kal jo jamane ke saamne aana padhe tab... Faulaad dil ki numaaiish kar lenge hum...! Lekin...... !Aaj saari raat...! Jee bhar ke ro lenge hum...!

  7. Man Panchi..! Man ...panchi ....ki tarh.. door gagan mein udh jata hai...! Hava mein kabhi ....ithlata hai.... Kabhi... aasmaan mein hilorre khata hai...! Kabhi man, apne hi duniya mein kho jata hai.... Swapno ki duniya mein na jane kya kya sukoon pata hai...! Khushiyo ke athah saagar mein ..... Man.. dhumil ho jata hai....! Koi... jab apne paraye ka ahasaas chupke se dila jata hai...! Akele to kal bhi thaey, aaj bhi.. aur kal bhi rahenge .. Halke se kaano mein koyii bol jata hai..! Ahsaas ki bhasha... na huyi na hogi kabhi... Man ke taro ko koyi hauole se ched jata hai...! Hontho se shabd nikle na nikle ..... Aankho ke dwaar koyi... Man ko janjodh jata hai...! Na daulat.. na shohrat... mangi hai kabhi .. Phir na jane kaun hridya ke chain cheene jata hai......! Aapne aur paraye ka bhed.... Sirf man ki aankho ka dhoka hai...! Yeh ..to shabdo ka bus pher badal hai... Praan bhi aapne tan aik din chod jata hai...! Man ki koyi boli hai na bhasha.... Kaun ... iisko kabhi samaj pata hai...! Yeh to bawara paanchi hai ....saare bandhan todh... Aage nikal jata hai..! Aage nikal jata hai..!

  8. MERE AJEEZ ...DUSHMAN Aankho ki zubaan. .. kaaash .. agar voh padh pate...! Dushmani hum se phir kabhi na voh ka r jate...! Humne to jab bhi.....dekha tha unhe... Bus dekha that dosti ki hi nazaro se...! Jane kyon voh dekhte rahe humein . ... Dushmano.. .! ki hi nazar se..! Kahti hai duniya... Voh bade ilmdaar hain..! Mere jazbaat ko na samaj sa ke...... Yakinan voh...!....to bus aik khaksaar hai...! Iljaam sirf unke sar kar du...! Yeh bhi to munasib nahi...! Mauka...! Aankho ko padhene ka.. Maine hi to unhe kabhi diya hi nahi...! Jab kabhi socha tha ...! Saaari baatein aankhon se aaj ... Kah hi dalenge....!Afsos magaar...! Ke raha mein .. kuch jayada kareeb se .... aaj...! Voh gujare to jaroor theh magar...! Dekh.. kar unko...! Be-vkat palko ne aankhon pe parda kar dala....! Kaash kahin.....Bhule sei... meri ... Jhuki najaro ko.... jhaank voh jate...! Yakinan dosti ki daastaan ... voh jaroor padh hi jate...! Phir na kabhi humein........! Voh.. Dushmano mein talaashte...! Vada hai dosti ka... voh hum..se .... Dushmani karna hi Bhool jate...! Dushmani karna hi Bhool jate...!

  9. Chaahat! Nile Gagan mein khule aasmaan mein.. udh jane ki chaahat hai mujko…! Suraj ke kirano ko.. hatheliyon mein kaid kar lene ke chaahat hai mujko..! Aasmaan ke zilmitalte sitaro ko ..aanchal mein bhar lene ki chaahat hai mujko..! Shaant sheetal lahro ko… ghanto tak nihaar lene ki chaaat hai mujko Sunsaan patharili pahadhiyo mein pahunch jane ki chaahat hain mujko Ouos se bhari naram mulam hari hari ghaas mein.. paidal nikal jane ki chaahat hai mujko… Hare bhare unche unche pedho ke beech kho jane ki chaahat hain mujko Komal mahke rangeen phulo se lipat jane ki chaahat hai mujko.. Suni -suni lambi sadako par safar tay karne ki chaahat hain mujko.. Barish ki pahli bauchar mein bheeg jane ki chaahat hai mujko. Mitti ki saundhi khushbu ko .. nas- nas mein kaid kar lene ki chaahat hai mujko Dhalte suraj ki lalimaa main dhumeel ho jaane ki chaahat hai mujko Chupke se mujhe chu kar nikal jane vali thandi- thandi hawa ka pata phuch lene ki chaahat hai mujko Prakrati ki anokhi rachna mein guum ho jane ki chahaat hai mujko...!

  10. Kai baar maine..! Kai baar maine..... Bheed mein bhi khud ko akela paya hai...! Apno ke bheech khud ko...... begana paya hai..! Kai baar maine.. Khili hui muskaan mein. ... dabe se dard ko paya hai.! Vishvas ke samandar mein..... fareb ki laharon ko paya hai..! Kai baar maine ....Unmeedo ke aakash mein Tuth-te taro ko paya hai .. sahare ki kashtiyon ko kinaro mein dubte paya hai..! Kai baar maine....Kuch na kahate hue bhi sab kuch kah dala hai, Kabhi band aankhon mein bhi .. bahut kuch dekh dala hai..! Kai baar maine.... Hakikat mein... khud ko oauprot magar..... bebas paya hai..! Bahate aanshuon ko bhi meine.... kayi baar... yu hi rok dala hai..! Laal, hare, nile .peele...... rangeen shisho se nahi...! Jindagi ko meine........ kori nazron se....! kai baar dekh dala hai...!

  11. . How often.....! Oh! How often ... How often... I desire ... someone......someone.... to be called a friend! A friend who is true, loyal and faithful On whom I can cast all my burden..! To feel free from distress.. To feel free from this mighty world! To pacify all my anguish and agonies...! How often .... I need some one.. how often I desire someone... to cheer me up in my pensive mood. A friend in whose presence... I can be my own ugly self... without having to worry about the shadow and impression.. I create! On whose presence.. I could let my hairs tangled.. kick off my sandles... Play cute mischief and crack silly jokes.. And be myself without .. any pretence..! How often .... I need some one.. Someone who can be called a true friend.. A person so selfless.... to be called my own! The love so unconditional…. Always to share.! Who could give me warmth love and understanding..! Who’s special warmth and smile would make me feel That life is ........ real worthwhile.....! How often .... I need some one... how often I desire someone...!

  12. NALINI EZEKIEL COPYRIGHT@*nAlIni*

More Related